Urdu Poetry By Siddique Mark Sundar
Baadah khwaron ki paarsai hai
Wasal ki baat mein judai hai
Phool kaliyan yeh chandni raatain
Sab tairay husn ki ranayi hai
Tujh ko milnay ko tujhe panay ko
Zindagi ki shama jalayi hai
Woh jo hota tha aasra dil ka
Aaj is ki hi be wafai hai
Aana chahta nahi tha dar par tairay
Mujh ko taqdeer khech layi hai
Muskurany se dard kam ho ga
Yeh kisi khabt ki dawai hai
Aur barh aaye raabtey dil ke
Aur gham ki bazm aarai hai
Log kehte hain dekh kar mujh ko
Yeh Siddiqui tera sodaai hai
بادہ خواروں کی پارسائی ہے
وصل کی بات میں جدائی ہے
پھول کلیاں یہ چاندنی راتیں
سب تیرے حسن کی رعنائی ہے
تجھ کو ملنے کو تجھے پانے کو
زندگی کی شمع جلائی ہے
وہ جو ہوتا تھا آسرا دل کا
آج اس کی ہی بے وفائی ہے
آنا چاہتا نہیں تھا در پر تیرے
مجھ کو تقدیر کھینچ لائی ہے
مسکرانے سے درد کم ہو گا
یہ کسی خبط کی دوائی ہے
اور بڑھ آئے رابطے دل کے
اور غم کی بزم آرائی ہے
لوگ کہتے ہیں دیکھ کر مجھ کو
یہ صدیقی تیرا سودائی ہے
Hope, you have enjoyed it. Please write your comments, either on this post, on Dyam Adab Youtube Channel, Facebook or Twitter.
Other Tags:
Hindi Ghazal, Hindi Shayari, Urdu Ghazal, Urdu Shayari,
Post a Comment